Mohabaat
Mohabaat ek aisi dua hai jiski chaahat zindagi me kabhi na kabhi har koi karte hai.
I have tried to pen down a poem on love , people who where in love or who are in love will for sure feel a connection with the poem.
Mohabaat
Mohabaat ek alfaz nahi ehsaas hai janab
Jo mil jaye to duniya Khaas hai, Jo na mile to duniya dushwaar hai
Aabaad kare zindagi ko tumhari , to tumhe barbaad bhi karti hai
Khushi ke pehgaam de tumhe , to tumhe gaamo ka saugaat bhi deti hai
Hasaye zindagi bhar tumhe , to zindagi bhar tumhe rula bhi sakti hai
Banne tumhari kamiyabi ka zariya , to tumhe nakaami ka rasta bhi dikha sakti hai
Laaye tumhari zindagi me sukoon ke pal, to un palo ko bechaini me badal sakti hai
Banaye tumhe insaan agar, to tumhe haiwaan bhi bana sakti hai
Mohabaat ek alfaaz nahi ehsaas hai janab
Jo mil jaye to duniya Khaas hai, Jo na mile to duniya dushwaar hai
Bane tumhari zindagi ka Naaz, to tumhari naaraazgi bhi ban sakti hai
Roshan kare zindagi ko tumhari , to tumhari zindagi me andhera bhi la sakti hai
Bane tumhari takaat agar , to tumhe khamzor bhi ban sakti hai
Rakhe tumhe duniya se bacha kar, to tumhe iss duniya me Akela bhi kar sakti hai
Banaye tumhari zindagi ko jaanat , to tumhari zindagi ko jahenum bhi bana sakti hai
Dikhaye tumhe haseen sapane , to tumhare sapno ko tod bhi sakti hai
Mile agar sachi Mohabaat karne wala tumhe , to zindagi gulzar ban jaati hai
Agar Na ko mile koi aisa, to tumhari zindagi fanna ho jaati hai
Isliye to Kehte Hai ke,
Mohabaat ek alfaaz nahi ehsaas hai janab
Jo mil jaye to duniya Khaas hai, Jo na mile to duniya dushwaar hai
Stay tuned to read more....
Loved it !
ReplyDelete