Ek Sukoon

I have written a poem and I would love to share with you all.


EK SUKOON..

Ek sukoon jo hasi de
Ek sukoon jo khushi de
Ek sukoon jo khwaishein jagaye
Ek sukoon jo kabil banaye

Ek sukoon jo ho suraj ki roshni jaisa 
Ek sukoon jo ho chand ki chandini jaisa 
Aisa ek sukoon jo junoon ban jaye
Aisa ek sukoon jo ibadaat ban jaye

Har dua me jisse padhe par
Zindagi Jannat ban jaye
Wo ek sukoon jo khuda pe yakeen karaye
Wo ek sukoon jo namumkin ko mumkin banaye

Sukoon ho aisa jo hame jeena sikhaye
Sukoon ho aisa jo hame khubsurat banaye
Aise ek sukoon ki talash to sabko hoti hai 
Jo har marz ki dawa ban jaye
Bas aise hi ek sukoon ki talash thi hame
Jo hamare jeene marne ki vajah ban jaye

Bas aise hi ek sukoon se hamara raabta hojaye 
Jo zindagi ke jeene ka zaariya baan jaye
Jiski ek khushi pe hum sab kuch lootaye
Jiski ek khawish pe hum kurban Hojaye

Wo sukoon Jisse paane ke liye 
Hum har kasam har bandhan tod jaaye 
Dua karte hai hum us parvardigar se rozana 
Ke bas ek aise sukoon se hame rubaru karaye 
  
Jiske aane se zindagi gulzar ho
Aane se jiske zindagi ka malaal na koi ho
Rakhe sambhal kar hum aapne dil me usse 
Bas aise hi ek sukoon ka aagaz ho..... 




Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Positivity

Confidence

Mother's Day